Samandar Mai Utarta Hun To Ankhen Bheeg Jati Hain| wasi shah urdu poetry
Samandar Mai Utarta Hun To Ankhen Bheeg Jati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hun To Ankhen Bheeg Jati Hain
Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chin Gai Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hun To Ankhen Bheeg Jati Hain
Teri Yaadon Ki Khushboo Khirkiyon Mai Rakhs Karti Hai
Tere Gham Mai Sulagta Hun To Ankhen Bheeg Jati Hain
Mai Hans Ke Jhail Leta Hun Judai Ki Sab Hi Rasmein
Galay Jab Us Ke Lagta Hun To Ankhen Bheeg Jati Hain
Na-Jane Ho Gaya Hun Is Qadar Hassas Mai Kab Se
Kisi Se Baat Karta Hun To Ankhen Bheeg Jati Hain
Wo Sab Guzre Hue Lamhaat Mujh Ko Yaad Aate Hain
Tumhare Khat Jo Parhta Hun To Ankhen Bheeg Jati Hain
Mai Sara Din Bohot Masroof Rehta Hun Magar Jun Hi
Qadam Chokhat Pe Rakhta Hun To Ankhen Bheeg Jati Hain
Har Ik Muflis Ke Mathe Par Alam Ki Dastaanein Hain
Koi Chehra Bhi Parhta Hun To Ankhen Bheeg Jati Hain
Bare Logon Ke Unche, Badnuma Aur Sard Mehlon Ko
Ghareeb Ankhon Se Takta Hun To Ankhen Bheeg Jati Hain
Tere Kooche Se Ab Mera Ta’aluq Wajbi Sa Hai
Magar Jab Bhi Guzarta Hun To Ankhen Bheeg Jati Hain
Hazaron Mosamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Par
Wasi Mai Jab Bhi Hansta Hun To Ankhen Bheeg Jati Hain
(Wasi Shah)
Post a Comment