Gulaab Saare Jhulas Gaye Hain | wasi shah poetry in Urdu hindi
eri Wafa Ne Khilaye The Jo Gulaab Saare Jhulas Gaye Hain
Tumhari Aankhon Mai Jis Qadar The Wo Khuwab Saare Jhulas Gaye Hain
Meri Zameen Ko Kisi Naye Haadsey Ka Hai Intizar Shayad
Gunah Phalne Lage Hain Ajr-O-Sawab Saare Jhulas Gaye Hain
Jo Tum Gaye To Meri Nazar Pe Haqeeqaton Ke Azaab Utre
Yeh Sochta Hun Ke Kiya Karun Ga Saraab Saare Jhulas Gaye Hain
Yeh Mojza Sirf Ik Shab Ki Musafaton Ke Sabab Hua Hai
Tumhare Aur Mere Darmiyan Ke Hijaab Saare Jhulas Gaye Hain
Usay Batana Ke Us Ki Yaadon Ke Saare Safhey Jala Chuka Hun
Kitaab-E-Dil Mai Raqam The Jitne Wo Baab Saare Jhulas Gaye Hain
Nazar Uthaaon Mai Jis Taraf Bhi Muheeb Saaye Hain Zulmaton Ke
Yeh Kiya Ke Mere Naseeb Ke Mahtaab Saare Jhulas Gaye Hain
Tumhari Nazron Ki Yeh Tapish Hai Ke Mere Lafzon Pe Aablay Hain
Sawal Saare Jhulas Gaye Hain Jawab Saare Jhulas Gaye Hain
Yeh Aag Khamoshiyon Ki Kaisi Tumhari Aankhon Mai Tairti Hai
Tumhare Honton Pe Darj The Jo Nisaab Saare Jhulas Gaye Hain
(Wasi Shah)
Post a Comment