Ham ke thehrey ajnabi itni mulaqaton ke baad

Phir banenge aashnaa, kitni madaraton ke baad

Kab nazar mai aegi be-daag sabzey ki bahar

Khoon ke dhabbey dholenge, kitni barsaton ke baad

They bohot be-dard lamhe, khatam-e-dard-e-ishq ke

Theen bohot be-mehr subhain, mehrbaan raaton ke baad

Dil to chaha, par shikast-e-dil ne mohlat hi na di

Kuch giley shikway bhi kar letey munajaton ke baad

Un se jo kehne gaye they, Faiz jaan sadqa kiye

Ankahi hi reh gaii, wo baat sab baton ke baad





(Faiz Ahmed Faiz)

Post a Comment

Previous Post Next Post