Faiz ahmed Faiz | urdu poetry | faiz ghazal Urdu
Dono jahan teri mohabbat mai haar ke
Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke
Weeraan hai mai-kada, khum-o-saagar udaas hai
Tum kiya gaye ke rooth gaye din bahaar ke
Ek fursat-e-gunah mili, wo bhi chaar din
Dekhe hain hum ne hosley parwardigaar ke
Duniya ne teri yaad se begaana kar diya
Tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgaar ke
Bhoole se muskura to diye the wo aaj Faiz
Mat pooch walwaley dil-e-naakarda kaar ke
(Faiz Ahmed Faiz)
Post a Comment