Mirza Ghalib is the most read and quoted poet of hindi urdu language in the world. His urdu shairi is so popular that people often used to quote them in their daily life. Here I have published a few most popular Sher, Ash’aar from his huge collection, which are very famous among the urdu shairi lovers.

ghalib shayari
Mirza Ghalib Shayari

Is saadgi pe kaun na mar jaaye ai khuda

ladte hain aur haath mein talwaar bhi nahi

**********

Aaina dekh apna sa munh le ke rah gaye

saahab ko dil na dene pe kitna guruur tha

**********

Apni gali men mujhko na kar dafn baad-e-qatl

mere pate se khalq ko kyuun tera ghar mile

**********

Aaye hai be-kasi-e-ishq pe rona ‘Ghalib’

kis ke ghar jaayega sailaab-e-balaa mere baad

**********

Aage aati thi haal-e-dil pe hansi

ab kisi baat par nahi aati

**********

Aata hai daagh-e-hasrat-e-dil ka shumaar yaad

mujh se mire gunah ka hisaab ai khuda na maang

**********

Ishq ne ‘Ghalib’ nikamma kar diya

varna ham bhi aadmi the kaam ke
Ishq ne Ghalib nikamma kar dea
Ishq ne Ghalib nikamma kar dea


**********

Ishq par zor nahi hai ye vo aatash ‘Ghalib’

ki lagaaye na lage aur bujhaaye na bane

**********

Is nazaaqat ka bura ho vo bhale hain to kya

haath aave to unhe haath lagaaye na bane

**********

Aashiq hoon pe maashooq-farebi hai mira kaam

majnuun ko bura kahti hai laila mere aage

Mirza ghalib in urdu
Mirza ghalib in urdu

Ghalib in urdu
Aina dekh Apna Sa

زندگی اپنی جب اس شکل سے گزری غالب ہم بھی کیا یاد کریں گے کہ خدا رکھتے تھے.
زندگی اپنی جب اس شکل سے گزری غالب
ہم بھی کیا یاد کریں گے کہ خدا رکھتے تھے.



1 Comments

Post a Comment

Previous Post Next Post